tez chalne lagi hawa mujh mein
tez chalne lagī havā mujh meñ
koī patte girā rahā mujh meñ
ai mire andarūñ batā kuchh to
kyā ḳhudāvand hai chhupā mujh meñ
maiñ dhanak oḌh kar nikaltā huuñ
phuul hai ek ḳhushnumā mujh meñ
dosto ab nahīñ rahā baaqī
hausla imtihān kā mujh meñ
ye tulū’-o-ġhurūb ke manzar
ibtidā mujh meñ intihā mujh meñ
tez chalne lagi hawa mujh mein
koi patte gira raha mujh mein
ai mere andarun bata kuchh to
kya KHudawand hai chhupa mujh mein
main dhanak oDh kar nikalta hun
phul hai ek KHushnuma mujh mein
dosto ab nahin raha baqi
hausla imtihan ka mujh mein
ye tulu’-o-ghurub ke manzar
ibtida mujh mein intiha mujh mein
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 74)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.