tez hawa ab to ruk ja main TuT gaya
tez havā ab to ruk jā maiñ TuuT gayā
farz se tū fāriġh maiñ jaañ se chhūT gayā
chhoḌ ke sab qissa bas itnā kahtā huuñ
dīvāroñ se Takrāyā sar phuuT gayā
kaan sunī bātoñ ko ham ne sach jaanā
ā.ankhoñ se dekhā to sab kuchh jhuuT gayā
ā.īna dekhā to kuchh kuchh hosh aayā
koī merā baaġh sā chehra luuT gayā
ab to jī meñ aatā hai kuchh kar baiThūñ
mere haath se sabr kā dāman chhūT gayā
tez hawa ab to ruk ja main TuT gaya
farz se tu farigh main jaan se chhuT gaya
chhoD ke sab qissa bas itna kahta hun
diwaron se Takraya sar phuT gaya
kan suni baaton ko hum ne sach jaana
aaankhon se dekha to sab kuchh jhuT gaya
aaina dekha to kuchh kuchh hosh aaya
koi mera bagh sa chehra luT gaya
ab to ji mein aata hai kuchh kar baiThun
mere hath se sabr ka daman chhuT gaya
- Book : Khayaabaan (Pg. 143)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.