Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tezi tere mizhgan ki ye nashtar se kahunga

Alimullah

tezi tere mizhgan ki ye nashtar se kahunga

Alimullah

MORE BYAlimullah

    tezī tire mizhgāñ ye nashtar se kahūñgā

    abrū shikāyat dam-e-ḳhanjar se kahūñgā

    ham-rañg-e-sham.a ishq meñ tere huuñ va-lekin

    ye soz-e-jigar ātish mujmar se kahūñgā

    dekhā huuñ maiñ jis roz se tujh husn jhalkā

    hai dil meñ kabhī jāma-e-anvar se kahūñgā

    tañgī jo tire pista-dahan hai sarāsar

    sar-basta suḳhan ġhuncha-e-jauhar se kahūñgā

    sairāb na huuñ tujh lab-e-shīrīñ se agar maiñ

    ye tishna-labī chashma-e-kausar se kahūñgā

    būjhā hai 'alīm' aaj ki hai husn ganj

    ye ḳhush-ḳhabarī āshiq-e-be-zar se kahūñgā

    tezi tere mizhgan ki ye nashtar se kahunga

    abru ki shikayat dam-e-KHanjar se kahunga

    ham-rang-e-shama ishq mein tere hun wa-lekin

    ye soz-e-jigar aatish mujmar se kahunga

    dekha hun main jis roz se tujh husn ka jhalka

    hai dil mein kabhi jama-e-anwar se kahunga

    tangi jo tere pista-dahan ki hai sarasar

    sar-basta suKHan ghuncha-e-jauhar se kahunga

    sairab na hun tujh lab-e-shirin se agar main

    ye tishna-labi chashma-e-kausar se kahunga

    bujha hai 'alim' aaj ki hai husn ka tu ganj

    ye KHush-KHabari aashiq-e-be-zar se kahunga

    Source:

    Deewan-e-Alimullah(Gazaliyat-e-Miskeen Shah) (Pg. 11)

    • Author: Alimullah, Miskeen Shah
      • Publisher: Matba Kareemi Press, Mumbai
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now