Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha ek saya sa pichhe pichhe jo muD ke dekha to kuchh nahin tha

Akhtar Hoshiyarpuri

tha ek saya sa pichhe pichhe jo muD ke dekha to kuchh nahin tha

Akhtar Hoshiyarpuri

MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri

    thā ek saaya pīchhe pīchhe jo muḌ ke dekhā to kuchh nahīñ thā

    ab apnī sūrat ko dekhtā huuñ kabhī jo sad-paikar-āfrīñ thā

    vo phir bhī jaañ se azīz-tar thā tabī.ateñ go judā judā thiiñ

    agarche ham-zād bhī nahīñ thā vo merā ham-shakl bhī nahīñ thā

    maiñ ruk sakūñgā Thahar sakūñgā thakan safar miTā sakūñgā

    kahīñ to koī shajar milegā tamām raste yahī yaqīñ thā

    ka.ī chaTāneñ gudāz jismoñ meñ apnī garmī se Dhal ga.ī thiiñ

    butoñ ke qisse meñ tesha-kāroñ tazkira bhī kahīñ kahīñ thā

    na jaane kyā dhuñd darmiyāñ thī ki kohkan nazar na pahuñchī

    jahāñ se phūTā thā chashma-e-māh-shab patthar bhī to vahīñ thā

    maiñ apnī āvāz ke ta.āqub meñ māvarā-e-nazar bhī pahuñchā

    magar palaT kar na us ne pūchhā ki maiñ ḳhalā ke bahut qarīñ thā

    vahī manāzir luTe luTe se vahī shikasta makān 'aḳhtar'

    maiñ roz-marra ke rāste se jo ghar meñ pahuñchā bahut hazīñ thā

    tha ek saya sa pichhe pichhe jo muD ke dekha to kuchh nahin tha

    ab apni surat ko dekhta hun kabhi jo sad-paikar-afrin tha

    wo phir bhi jaan se aziz-tar tha tabiaten go juda juda thin

    agarche ham-zad bhi nahin tha wo mera ham-shakl bhi nahin tha

    main ruk sakunga Thahar sakunga thakan safar ki miTa sakunga

    kahin to koi shajar milega tamam raste yahi yaqin tha

    kai chaTanen gudaz jismon mein apni garmi se Dhal gai thin

    buton ke qisse mein tesha-karon ka tazkira bhi kahin kahin tha

    na jaane kya dhund darmiyan thi ki kohkan ki nazar na pahunchi

    jahan se phuTa tha chashma-e-mah-shab ka patthar bhi to wahin tha

    main apni aawaz ke taaqub mein mawara-e-nazar bhi pahuncha

    magar palaT kar na us ne puchha ki main KHala ke bahut qarin tha

    wahi manazir luTe luTe se wahi shikasta makan 'aKHtar'

    main roz-marra ke raste se jo ghar mein pahuncha bahut hazin tha

    Source:

    Dariche (Pg. 12)

    • Author: Bashir Saifi
      • Edition: 1975
      • Publisher: Shakhsar Publishers
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now