Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha jo mere zauq ka saman aadha rah gaya

Barqi Azmi

tha jo mere zauq ka saman aadha rah gaya

Barqi Azmi

MORE BYBarqi Azmi

    thā jo mere zauq sāmān aadhā rah gayā

    bahr-e-dil meñ ishq tūfān aadhā rah gayā

    maiñ idhar bechain huuñ aur vo udhar hai muztarib

    dāstān-e-ishq unvān aadhā rah gayā

    chand lamhe ba.ad aa kar vo ruḳhsat ho gayā

    us se milne thā jo armān aadhā rah gayā

    us tasvīr-e-tasavvur hai nazar ke sāmne

    ḳhāna-e-dil meñ jo thā mehmān aadhā rah gayā

    tishna-e-takmīl hai mere savāloñ javāb

    maiñ samajhtā thā jise āsān aadhā rah gayā

    ibn-e-ādam kabhī puurī nahīñ hotī havas

    vo samajhtā hai abhī sāmān aadhā rah gayā

    ilm zāhir aur bātin lāzim-o-malzūm haiñ

    jo na samjhe us ko vo insān aadhā rah gayā

    apnī apnī sarhadoñ se haiñ sabhī nā-mutma.in

    chiin aadhā rah gayā jāpān aadhā rah gayā

    sab Daflī hai alag aur sab apnā raag hai

    shaiḳh aadhā rah gayā aur ḳhaan aadhā rah gayā

    nāqidoñ ke darmiyāñ hai in dinoñ mauzū-e-bahs

    'mīr' aur 'ġhālib' jo dīvān aadhā rah gayā

    sher likh saktā nahīñ jo kar rahā hai is sharh

    sher-fahmī thā jo ruj.hān aadhā rah gayā

    kah rahā hai jis nazroñ meñ barābar haiñ sabhī

    is amīr-e-shahr farmān aadhā rah gayā

    hai kabhī niime darūñ vo aur kabhī niime barūñ

    aadmī āj-kal īmān aadhā rah gayā

    ik jhalak dikhlā ke apnī jo kabhī lauTā nahīñ

    us ke 'barqī' hijr meñ be-jān aadhā rah gayā

    tha jo mere zauq ka saman aadha rah gaya

    bahr-e-dil mein ishq ka tufan aadha rah gaya

    main idhar bechain hun aur wo udhar hai muztarib

    dastan-e-ishq ka unwan aadha rah gaya

    chand lamhe baad hi aa kar wo ruKHsat ho gaya

    us se milne ka tha jo arman aadha rah gaya

    us ki taswir-e-tasawwur hai nazar ke samne

    KHana-e-dil mein jo tha mehman aadha rah gaya

    tishna-e-takmil hai mere sawalon ka jawab

    main samajhta tha jise aasan aadha rah gaya

    ibn-e-adam ki kabhi puri nahin hoti hawas

    wo samajhta hai abhi saman aadha rah gaya

    ilm zahir aur baatin lazim-o-malzum hain

    jo na samjhe us ko wo insan aadha rah gaya

    apni apni sarhadon se hain sabhi na-mutmain

    chin aadha rah gaya japan aadha rah gaya

    sab ki Dafli hai alag aur sab ka apna rag hai

    shaiKH aadha rah gaya aur KHan aadha rah gaya

    naqidon ke darmiyan hai in dinon mauzu-e-bahs

    'mir' aur 'ghaalib' ka jo diwan aadha rah gaya

    sher likh sakta nahin jo kar raha hai is ki sharh

    sher-fahmi ka tha jo rujhan aadha rah gaya

    kah raha hai jis ki nazron mein barabar hain sabhi

    is amir-e-shahr ka farman aadha rah gaya

    hai kabhi nime darun wo aur kabhi nime barun

    aadmi ka aaj-kal iman aadha rah gaya

    ek jhalak dikhla ke apni jo kabhi lauTa nahin

    us ke 'barqi' hijr mein be-jaan aadha rah gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now