tha kabhi dariya magar ab sirf ek qatra hun main
tha kabhi dariya magar ab sirf ek qatra hun main
Saghir Ahmad Soofi
MORE BYSaghir Ahmad Soofi
thā kabhī dariyā magar ab sirf ik qatra huuñ maiñ
is hujūm-e-nasl-e-nau meñ kis qadar tanhā huuñ maiñ
ġhair ke kahne se dā'vā hamsarī kā kyā karūñ
vaqt kā sūraj hai tū aur mom kā putlā huuñ maiñ
āñdhiy.oñ meñ sab na.e chehre purāne ho ga.e
ā.ina-ḳhāne meñ ik bigḌā huā chehra huuñ maiñ
ab mujhe mahsūs hotā hai ki is māhaul meñ
kis qadar TuuTā huā huuñ kis qadar bikhrā huuñ maiñ
us ne dekhā thā mujhe shāyad nigāh-e-lutf se
aaj tak ḳhush-fahmiyoñ ke jaal meñ uljhā huuñ maiñ
kaun jaane raah meñ kāñTe mileñ patthar mileñ
phūñk kar is vāste 'sūfī' qadam rakhtā huuñ maiñ
tha kabhi dariya magar ab sirf ek qatra hun main
is hujum-e-nasl-e-nau mein kis qadar tanha hun main
ghair ke kahne se da'wa hamsari ka kya karun
waqt ka suraj hai tu aur mom ka putla hun main
aandhiyon mein sab nae chehre purane ho gae
aaina-KHane mein ek bigDa hua chehra hun main
ab mujhe mahsus hota hai ki is mahaul mein
kis qadar TuTa hua hun kis qadar bikhra hun main
us ne dekha tha mujhe shayad nigah-e-lutf se
aaj tak KHush-fahmiyon ke jal mein uljha hun main
kaun jaane rah mein kanTe milen patthar milen
phunk kar is waste 'sufi' qadam rakhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.