Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha nigahon mein basaya jaane kis taswir ko

Rizwanur Raza Rizwan

tha nigahon mein basaya jaane kis taswir ko

Rizwanur Raza Rizwan

MORE BYRizwanur Raza Rizwan

    thā nigāhoñ meñ basāyā jaane kis tasvīr ko

    dekh kar hairān haiñ ab ḳhvāb ta.abīr ko

    us ne dil dhaḌkaneñ sun kar shab-e-tārīk meñ

    kar liyā mahsūs mere nāla-e-shab-gīr ko

    kaisā qātil thā mirā shauq-e-shahādat dekh kar

    rakh diyā zālim ne apne haath se shamshīr ko

    daf.atan ḳhud us chehra bhī kitābī ho gayā

    mere ruḳh par paḌh liyā hai jaane kis tahrīr ko

    dasht-o-sahrā se guzarne hunar ma.alūm hai

    kaaT de koī hamāre paañv zanjīr ko

    maiñ ne maanā khel sab taqdīr hai magar

    har ghaḌī 'rizvān' rakh pesh-e-nazar tadbīr ko

    tha nigahon mein basaya jaane kis taswir ko

    dekh kar hairan hain ab KHwab ki tabir ko

    us ne dil ki dhaDkanen sun kar shab-e-tarik mein

    kar liya mahsus mere nala-e-shab-gir ko

    kaisa qatil tha mera shauq-e-shahadat dekh kar

    rakh diya zalim ne apne hath se shamshir ko

    dafatan KHud us ka chehra bhi kitabi ho gaya

    mere ruKH par paDh liya hai jaane kis tahrir ko

    dasht-o-sahra se guzarne ka hunar malum hai

    kaT de koi hamare panw ki zanjir ko

    main ne mana khel sab taqdir hi ka hai magar

    har ghaDi 'rizwan' rakh pesh-e-nazar tadbir ko

    Source:

    Idraak Ke Saye Tale (Pg. B-33 E-34)

    • Author: Rizwanur Raza Rizwan
      • Edition: 2014
      • Publisher: Averoz Academy, Aligarh
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now