tha sharik-e-bazm-e-gham main ham-nawan koi nahin
thā sharīk-e-bazm-e-ġham maiñ ham-navāñ koī nahīñ
dard-e-dil ko harf karne kā bayāñ koī nahīñ
thā ḳhalāoñ meñ bhaTaknā tanhā hī jis kā nasīb
thā na chanda sañg apne kahkashāñ koī nahīñ
rañg bhar do yuuñ ki phaile bin dhanak jism-e-ufuq
ḳhvāboñ kī tasvīr se baḌh ke zabāñ koī nahīñ
kitne dīvāroñ meñ kho.e dard-o-ġham ke zalzale
aahoñ se jo Dah gayā aisā makāñ koī nahīñ
mil ke bas vo pal do pal apne hī ghar ko lauTā hai
aa.e jo basne zamīñ par āsmāñ koī nahīñ
dekhtā hai har kalī ko vo bikhartā bār-bār
gul ugānā chhoḌtā par bāġhbāñ koī nahīñ
ḳhaak kar degā ġhubār-e-vaqt terā ye vajūd
jo ruke tere liye vo kārvāñ koī nahīñ
tha sharik-e-bazm-e-gham main ham-nawan koi nahin
dard-e-dil ko harf karne ka bayan koi nahin
tha KHalaon mein bhaTakna tanha hi jis ka nasib
tha na chanda sang apne kahkashan koi nahin
rang bhar do yun ki phaile bin dhanak jism-e-ufuq
KHwabon ki taswir se baDh ke zaban koi nahin
kitne diwaron mein khoe dard-o-gham ke zalzale
aahon se jo Dah gaya aisa makan koi nahin
mil ke bas wo pal do pal apne hi ghar ko lauTa hai
aae jo basne zamin par aasman koi nahin
dekhta hai har kali ko wo bikharta bar-bar
gul ugana chhoDta par baghban koi nahin
KHak kar dega ghubar-e-waqt tera ye wajud
jo ruke tere liye wo karwan koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.