Thahraw jis ko chahiye manzil se ja mile

Thahraw jis ko chahiye manzil se ja mile
Musarif Husain Mansoori
MORE BYMusarif Husain Mansoori
Thahrāv jis ko chāhiye manzil se jā mile
merī talab safar hai mujhe rāsta mile
vo chal paḌe ḳhulūs-o-mohabbat kī raah par
jo shaḳhs chāhtā hai ki us ko ḳhudā mile
samjhauta kar ke raah kī dushvāriyoñ ke saath
mumkin nahīñ ki naddī samundar se jā mile
āġhosh-e-zindagī ne bahut ġham diye hameñ
ab dekhnā hai maut kī bāñhoñ meñ kyā mile
Thahraw jis ko chahiye manzil se ja mile
meri talab safar hai mujhe rasta mile
wo chal paDe KHulus-o-mohabbat ki rah par
jo shaKHs chahta hai ki us ko KHuda mile
samjhauta kar ke rah ki dushwariyon ke sath
mumkin nahin ki naddi samundar se ja mile
aaghosh-e-zindagi ne bahut gham diye hamein
ab dekhna hai maut ki banhon mein kya mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.