Thahre hue pani mein rawani koi shai tu
Thahre hue paanī meñ ravānī koī shai tū
maujūd se aage bhī hai yā'nī koī shai tū
jo ek hai us ek meñ har haal hai tū hī
avval meñ agar hai kahīñ saanī koī shai tū
jo ruup hai vo rang se ḳhālī to nahīñ hai
in zard se pattoñ meñ hai dhānī koī shai tū
sarsabz hai tā-hadd-e-nazar ret kī khetī
maujūd ke sahrāoñ meñ paanī koī shai tū
har sūrat-e-iz.hār nayā rang na.ī shakl
is shahr-e-taġhayyur meñ purānī koī shai tū
Thahre hue pani mein rawani koi shai tu
maujud se aage bhi hai ya'ni koi shai tu
jo ek hai us ek mein har haal hai tu hi
awwal mein agar hai kahin sani koi shai tu
jo rup hai wo rang se KHali to nahin hai
in zard se patton mein hai dhani koi shai tu
sarsabz hai ta-hadd-e-nazar ret ki kheti
maujud ke sahraon mein pani koi shai tu
har surat-e-izhaar naya rang nai shakl
is shahr-e-taghayyur mein purani koi shai tu
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 24)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.