aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Thahre pani mein nihan ek hasin KHwab bhi hai

Ehtisham Akhtar

Thahre pani mein nihan ek hasin KHwab bhi hai

Ehtisham Akhtar

MORE BYEhtisham Akhtar

    Interesting Fact

    Aaj Kal, Delhi

    Thahre paanī meñ nihāñ ek hasīñ ḳhvāb bhī hai

    aas jhiil meñ aks-e-ruḳh-e-mahtāb bhī hai

    dasht-e-tanhā.ī ke tapte hue vīrāne meñ

    terī yādoñ hai ik peḌ jo shādāb bhī hai

    paar karnā baḌā mushkil hai ki ye bahr-e-havas

    kahīñ gahrā hai bahut aur kahīñ pāyāb bhī hai

    is tasvīr meñ āñkhoñ meñ basā luuñ ki ye shai

    laakh arzāñ sahī mere liye nāyāb bhī hai

    yuuñ to lagtā hai samundar baḌā ḳhāmosh magar

    us ke siine meñ nihāñ karb sailāb bhī hai

    ye tamannāoñ sūkhī huī nadī 'aḳhtar'

    apnī āñkhoñ meñ sajā.e hue ik ḳhvāb bhī hai

    Thahre pani mein nihan ek hasin KHwab bhi hai

    aas ki jhil mein aks-e-ruKH-e-mahtab bhi hai

    dasht-e-tanhai ke tapte hue virane mein

    teri yaadon ka hai ek peD jo shadab bhi hai

    par karna baDa mushkil hai ki ye bahr-e-hawas

    kahin gahra hai bahut aur kahin payab bhi hai

    is ki taswir mein aankhon mein basa lun ki ye shai

    lakh arzan sahi mere liye nayab bhi hai

    yun to lagta hai samundar baDa KHamosh magar

    us ke sine mein nihan karb ka sailab bhi hai

    ye tamannaon ki sukhi hui nadi 'aKHtar'

    apni aankhon mein sajae hue ek KHwab bhi hai

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 101)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now