Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Thahrega wahi ran mein jo himmat ka dhani hai

Hurmatul Ikaram

Thahrega wahi ran mein jo himmat ka dhani hai

Hurmatul Ikaram

MORE BYHurmatul Ikaram

    Thahregā vahī ran meñ jo himmat dhanī hai

    ye ma.arka-e-ḳhud-garī-o-ḳhud-shikanī hai

    ho ḳhair ki ai azmat-e-yazdāñ tirī ḳhātir

    insān azal se hadaf-e-ahramanī hai

    tevar mire bhāñp liye logoñ ne varna

    duniyā meñ banā.e se kahāñ baat banī hai

    pahuñcheñge tirī bazm-e-dil-ārā meñ bhī ik roz

    tārīk ḳhalāoñ meñ abhī ḳhema-zanī hai

    Dartā huuñ ki chupke se utar jaa.e na dil meñ

    ye lamha-e-betāb ki neze anī hai

    ai ahl-e-junūñ duur nahīñ manzil-e-shīrīñ

    haañ biich meñ ik marhala-e-koh-kanī hai

    minjumla-e-taqsīr na ho ye bhī ki 'hurmat'

    muddat huī be-vaj.h zamāne se Thanī hai

    Thahrega wahi ran mein jo himmat ka dhani hai

    ye marka-e-KHud-gari-o-KHud-shikani hai

    ho KHair ki ai azmat-e-yazdan teri KHatir

    insan azal se hadaf-e-ahramani hai

    tewar hi mere bhanp liye logon ne warna

    duniya mein banae se kahan baat bani hai

    pahunchenge teri bazm-e-dil-ara mein bhi ek roz

    tarik KHalaon mein abhi KHema-zani hai

    Darta hun ki chupke se utar jae na dil mein

    ye lamha-e-betab ki neze ki ani hai

    ai ahl-e-junun dur nahin manzil-e-shirin

    han bich mein ek marhala-e-koh-kani hai

    minjumla-e-taqsir na ho ye bhi ki 'hurmat'

    muddat hui be-wajh zamane se Thani hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 195)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now