thak gae ho to thakan chhoD ke ja sakte ho
thak ga.e ho to thakan chhoḌ ke jā sakte ho
tum mujhe vāqi'atan chhoḌ ke jā sakte ho
ham daraḳhtoñ ko kahāñ aatā hai hijrat karnā
tum parinde ho vatan chhoḌ ke jā sakte ho
tum se bātoñ meñ kuchh is darja magan hotā huuñ
mujh ko bātoñ meñ magan chhoḌ ke jā sakte ho
jaane vaale se savālāt nahīñ hote miyāñ
tum yahāñ apnā badan chhoḌ ke jā sakte ho
jaanā chāho to kisī vaqt bhī ḳhud se bāhar
apne andar kī ghuTan chhoḌ ke jā sakte ho
thak gae ho to thakan chhoD ke ja sakte ho
tum mujhe waqi'atan chhoD ke ja sakte ho
hum daraKHton ko kahan aata hai hijrat karna
tum parinde ho watan chhoD ke ja sakte ho
tum se baaton mein kuchh is darja magan hota hun
mujh ko baaton mein magan chhoD ke ja sakte ho
jaane wale se sawalat nahin hote miyan
tum yahan apna badan chhoD ke ja sakte ho
jaana chaho to kisi waqt bhi KHud se bahar
apne andar ki ghuTan chhoD ke ja sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.