Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thak thak gae hain aashiq darmanda-e-fughan ho

Qalaq Merathi

thak thak gae hain aashiq darmanda-e-fughan ho

Qalaq Merathi

MORE BYQalaq Merathi

    thak thak ga.e haiñ āshiq darmanda-e-fuġhāñ ho

    yārab kahīñ vo ġhaflat fariyād-e-be-kasāñ ho

    qahr hai vo shoḳhī parda hai nazar

    dil meñ to us ghar ho aur aañkh se nihāñ ho

    ye shor bhar rahā hai fariyād jahāñ meñ

    jo baat lab pe aa.ī ulTī phirī fuġhāñ ho

    kis kis duā ko māñgeñ kyā kyā havas nikāleñ

    ik jaañ kidhar kidhar ho ik dil kahāñ kahāñ ho

    bargasht-agī-e-qismat ye chheḌ kyā nikālī

    jo mudda.ā-e-dil ho vo mudda.ī-e-jāñ ho

    maqdūr tak to apne tujh se nibhā.eñge ham

    be-jān-o-dil haiñ hāzir gar qasd-e-imtihāñ ho

    sayyād maiñ nahīñ huuñ gum-karda āshiyāñ huuñ

    ai ham-safīro bolo kis ho aur kahāñ ho

    ai aah dil se uTh kar lab par hai kyā ta.amul

    shorish-e-zamīñ ho āshob-e-āsmāñ ho

    miT miT ke bhī hamārā ik ban rahegā sāmāñ

    ujḌe agar bahārāñ ābādī-e-ḳhizāñ ho

    jab baiThne pe aa.e ai zo.af baiTh rahiye

    phir kyā hai ye takalluf us āstāñ ho

    rahegī bulbul maiñ is chaman meñ

    terā ho qissa merī dāstāñ ho

    mere suḳhan meñ kyā hai kuchh ḳhāl-o-ḳhat bayāñ hai

    par dil se us ke pūchhe jo koī nukta-dāñ ho

    merā salām kahnā jhuk kar 'qalaq' vahī hai

    us galī meñ baiThā mauzūñ jo javāñ ho

    thak thak gae hain aashiq darmanda-e-fughan ho

    yarab kahin wo ghaflat fariyaad-e-be-kasan ho

    ya qahr hai wo shoKHi ya parda hai nazar ka

    dil mein to us ka ghar ho aur aankh se nihan ho

    ye shor bhar raha hai fariyaad ka jahan mein

    jo baat lab pe aai ulTi phiri fughan ho

    kis kis dua ko mangen kya kya hawas nikalen

    ek jaan kidhar kidhar ho ek dil kahan kahan ho

    bargasht-agi-e-qismat ye chheD kya nikali

    jo muddaa-e-dil ho wo muddai-e-jaan ho

    maqdur tak to apne tujh se nibhaenge hum

    be-jaan-o-dil hain hazir gar qasd-e-imtihan ho

    sayyaad main nahin hun gum-karda aashiyan hun

    ai ham-safiro bolo kis ja ho aur kahan ho

    ai aah dil se uTh kar lab par hai kya tamul

    ja shorish-e-zamin ho aashob-e-asman ho

    miT miT ke bhi hamara ek ban rahega saman

    ujDe agar bahaaran aabaadi-e-KHizan ho

    jab baiThne pe aae ai zoaf baiTh rahiye

    phir kya hai ye takalluf us ka hi aastan ho

    tu hi rahegi bulbul ya main hi is chaman mein

    ya tera hi ho qissa ya meri dastan ho

    mere suKHan mein kya hai kuchh KHal-o-KHat bayan hai

    par dil se us ke puchhe jo koi nukta-dan ho

    mera salam kahna jhuk kar 'qalaq' wahi hai

    us ki gali mein baiTha mauzun sa jo jawan ho

    Source:

    Kulliyat-e-Qalaq (Pg. ebook-277 page-199)

    • Author: Qalaq Merathi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now