thakan auron pe hawi hai meri
thakan auroñ pe haavī hai mirī
rihā.ī ab zarūrī hai mirī
bahut sanjīdgī darkār hai
hañsī bhī chhūT saktī hai mirī
mujhe jiine nahīñ detā koī
sabhī ko jaan pyārī hai mirī
use maiñ bhuul saktā huuñ magar
anā majrūh hotī hai mirī
vahī to aaj dushman haiñ mire
jinhoñ ne baat maanī hai mirī
agar ab saath haiñ to kyā huā
hañsī sab ne uḌaa.ī hai mirī
thakan auron pe hawi hai meri
rihai ab zaruri hai meri
bahut sanjidgi darkar hai
hansi bhi chhuT sakti hai meri
mujhe jine nahin deta koi
sabhi ko jaan pyari hai meri
use main bhul sakta hun magar
ana majruh hoti hai meri
wahi to aaj dushman hain mere
jinhon ne baat mani hai meri
agar ab sath hain to kya hua
hansi sab ne uDai hai meri
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 48)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.