Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tham zara waqt-e-ajal didar-e-jaan hone laga

Ummeed KHwaja

tham zara waqt-e-ajal didar-e-jaan hone laga

Ummeed KHwaja

MORE BYUmmeed KHwaja

    tham zarā vaqt-e-ajal dīdār-e-jāñ hone lagā

    āḳhirī hichkī pe koī mehrbāñ hone lagā

    kis sitamgar ne uḌā yād-e-māzī bayāz

    har galī har moḌ par qissa bayāñ hone lagā

    jaane kis gul ne chaman hurmateñ pāmāl kiiñ

    mausam-e-fasl-e-bahārāñ bhī ḳhizāñ hone lagā

    dafn kar ke qabr meñ jab chuke ahbāb dost

    jo kabhī sochā na thā vo imtihāñ hone lagā

    dast-o-pā shal ho ga.e haiñ quvvateñ zaa.il huiiñ

    zindagānī safar aage ravāñ hone lagā

    ḳhvāhishoñ chaah meñ ḳhusrān ke saude kiye

    manfa.at samjhā jise āḳhir ziyāñ hone lagā

    koī va.ada aaj tak iifā nahīñ tum ne kiyā

    baat sachchī thī magar vo bad-gumāñ hone lagā

    paañv aahaT ne mujh ko gor meñ chauñkā diyā

    hichkiyoñ saaz dil tarjumāñ hone lagā

    kaisī ḳhush-fahmī tumheñ kis baat ġharra 'umīd'

    aa ga.e haiñ aqrabā vaqt-e-azāñ hone lagā

    tham zara waqt-e-ajal didar-e-jaan hone laga

    aaKHiri hichki pe koi mehrban hone laga

    kis sitamgar ne uDa li yaad-e-mazi ki bayaz

    har gali har moD par qissa bayan hone laga

    jaane kis gul ne chaman ki hurmaten pamal kin

    mausam-e-fasl-e-bahaaran bhi KHizan hone laga

    dafn kar ke qabr mein jab ja chuke ahbab dost

    jo kabhi socha na tha wo imtihan hone laga

    dast-o-pa shal ho gae hain quwwaten zail huin

    zindagani ka safar aage rawan hone laga

    KHwahishon ki chah mein KHusran ke saude kiye

    manfat samjha jise aaKHir ziyan hone laga

    koi wada aaj tak ifa nahin tum ne kiya

    baat sachchi thi magar wo bad-guman hone laga

    panw ki aahaT ne mujh ko gor mein chaunka diya

    hichkiyon ka saz dil ka tarjuman hone laga

    kaisi KHush-fahmi tumhein kis baat ka gharra 'umid'

    aa gae hain aqraba waqt-e-azan hone laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now