aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

the hum istada tere dar pe wale baiTh gae

Baqaullah 'Baqa'

the hum istada tere dar pe wale baiTh gae

Baqaullah 'Baqa'

MORE BYBaqaullah 'Baqa'

    the ham istāda tire dar pe vale baiTh ga.e

    ne chāhā thā ki Taale na Tale baiTh ga.e

    bazm meñ shaiḳh-jī ab hai ki hai yaañ aib nahīñ

    farsh par gar na milī to tale baiTh ga.e

    ġhair bad-vaz.a haiñ mahfil se shitāb un uTho

    paas aisoñ ke tum ai jaan bhale baiTh ga.e

    ghar se niklā na aur muntziroñ ne tere

    dar pe naale kiye yaañ tak ki gale baiTh ga.e

    nā-tavāñ ham hue yaañ tak ki tirī mahfil tak

    ghar se aate hue sau baar chale baiTh ga.e

    ashk aur aah shiddat na thamī garche 'baqā'

    ghar ke ghar is meñ hazāroñ ke jale baiTh ga.e

    the hum istada tere dar pe wale baiTh gae

    tu ne chaha tha ki Tale na Tale baiTh gae

    bazm mein shaiKH-ji ab hai ki hai yan aib nahin

    farsh par gar na mili ja to tale baiTh gae

    ghair bad-waza hain mahfil se shitab un ki uTho

    pas aison ke tum ai jaan bhale baiTh gae

    ghar se nikla na tu aur muntziron ne tere

    dar pe nale kiye yan tak ki gale baiTh gae

    na-tawan hum hue yan tak ki teri mahfil tak

    ghar se aate hue sau bar chale baiTh gae

    ashk aur aah ki shiddat na thami garche 'baqa'

    ghar ke ghar is mein hazaron ke jale baiTh gae

    Source:

    Deewan-e-Baqa (Pg. ebook-69 page-39)

    • Author: Khwaja Ahmad Faruqi
      • Publisher: Shoba-e-Urdu, Delhi University, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now