Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

the jo sheron mein naghmagi ki tarah

Javed Kamal Rampuri

the jo sheron mein naghmagi ki tarah

Javed Kamal Rampuri

MORE BYJaved Kamal Rampuri

    the jo sheroñ meñ naġhmagī tarah

    dil se jaate haiñ raushnī tarah

    jab bhī zālim vo yaad aatā hai

    dil dukhātā hai chāñdnī tarah

    haa.e vo log ham se ruuTh ga.e

    jin ko chāhā thā zindagī tarah

    jaane ye log kis jahāñ ke haiñ

    jab bhī milte haiñ ajnabī tarah

    saḳht hālāt meñ jiye jaanā

    maut hai maut ḳhud-kushī tarah

    the jo sheron mein naghmagi ki tarah

    dil se jate hain raushni ki tarah

    jab bhi zalim wo yaad aata hai

    dil dukhata hai chandni ki tarah

    hae wo log hum se ruTh gae

    jin ko chaha tha zindagi ki tarah

    jaane ye log kis jahan ke hain

    jab bhi milte hain ajnabi ki tarah

    saKHt haalat mein jiye jaana

    maut hai maut KHud-kushi ki tarah

    Source:

    Awaz Na Do (Pg. 7)

    • Author: Javed Kamal
      • Edition: 1993
      • Publisher: Sky Lark Publishers, Aligarah
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now