the kabhi hum ko bhi hangame aziz
the kabhī ham ko bhī hangāme 'azīz
ab magar lagte haiñ sannāTe 'azīz
jo hameñ haiñ jaan ke jaise 'azīz
kaash hote ham bhī yuuñ un ke 'azīz
zindagī mahfūz ho jin ke tale
kis qadar hote haiñ vo saa.e 'azīz
jin se haiñ mansūb yādeñ aap kī
ham ko haiñ vo sab galī kūche 'azīz
zindagī kaTtī nahīñ un ke binā
log kuchh hote haiñ kyoñ itne 'azīz
dil ko chhū jaate the jo bhītar talak
aaj bhī haiñ ham ko vo naġhme 'azīz
jaam ḳhushiyoñ ke mubārak aap ko
ham ko to haiñ ġham ke paimāne 'azīz
ahl-e-duniyā ko haiñ pyārī manzileñ
aur 'madhuman' ham ko haiñ raste 'azīz
the kabhi hum ko bhi hangame 'aziz
ab magar lagte hain sannaTe 'aziz
jo hamein hain jaan ke jaise 'aziz
kash hote hum bhi yun un ke 'aziz
zindagi mahfuz ho jin ke tale
kis qadar hote hain wo sae 'aziz
jin se hain mansub yaaden aap ki
hum ko hain wo sab gali kuche 'aziz
zindagi kaTti nahin un ke bina
log kuchh hote hain kyon itne 'aziz
dil ko chhu jate the jo bhitar talak
aaj bhi hain hum ko wo naghme 'aziz
jam KHushiyon ke mubarak aap ko
hum ko to hain gham ke paimane 'aziz
ahl-e-duniya ko hain pyari manzilen
aur 'madhuman' hum ko hain raste 'aziz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.