Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thi dhup tez is qadar badan bhi jaise jal gaya

Qasim Niyazi

thi dhup tez is qadar badan bhi jaise jal gaya

Qasim Niyazi

MORE BYQasim Niyazi

    thī dhuup tez is qadar badan bhī jaise jal gayā

    magar baḌhā jo merā qad to āftāb Dhal gayā

    jab us galī meñ jhuuT sunīñ fareb-kāriyāñ

    to us galī meñ sach sunā aur aage maiñ nikal gayā

    jo merā naam aa gayā vo muskurā ke rah gayā

    raqīb ḳhushāmadoñ zor us pe chal gayā

    yahāñ har ek samt haiñ latāfateñ nafāsateñ

    kahīñ ye dil Thahar gayā kahīñ ye dil machal gayā

    ye rahne vaalā shahr yaqīñ na kar sakā kabhī

    vo rahne vaalā gaaoñ ki jhuuT se bahal gayā

    thī mere paas raushnī to vo bhī mere saath thā

    añdherā jab huā to vo kahāñ se kab nikal gayā

    mujhe nahīñ hai is ġham ki muflisī milī mujhe

    mujhe ye ġham satā rahā hai us kaam chal gayā

    hameñ 'niyāzī' aaj bhī tirī vo baat yaad hai

    jo gir gayā so gir gayā jo uTh gayā sañbhal gayā

    thi dhup tez is qadar badan bhi jaise jal gaya

    magar baDha jo mera qad to aaftab Dhal gaya

    jab us gali mein jhuT ki sunin fareb-kariyan

    to us gali mein sach suna aur aage main nikal gaya

    jo mera nam aa gaya wo muskura ke rah gaya

    raqib ki KHushamadon ka zor us pe chal gaya

    yahan har ek samt hain latafaten nafasaten

    kahin ye dil Thahar gaya kahin ye dil machal gaya

    ye rahne wala shahr ka yaqin na kar saka kabhi

    wo rahne wala gaon ka ki jhuT se bahal gaya

    thi mere pas raushni to wo bhi mere sath tha

    andhera jab hua to wo kahan se kab nikal gaya

    mujhe nahin hai is ka gham ki muflisi mili mujhe

    mujhe ye gham sata raha hai us ka kaam chal gaya

    hamein 'niyazi' aaj bhi teri wo baat yaad hai

    jo gir gaya so gir gaya jo uTh gaya sanbhal gaya

    Source:

    Dast-e-Hunar (Pg. 51)

    • Author: Qasim Niyazi
      • Publisher: Maktaba Sada-e-Urdu, Bhopal
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now