Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thi kahan jurat kisi mein han magar usne kiya

Jahan Ara Tabassum

thi kahan jurat kisi mein han magar usne kiya

Jahan Ara Tabassum

MORE BYJahan Ara Tabassum

    thī kahāñ jur.at kisī meñ haañ magar us ne kiyā

    dil ke is ḳhālī makāñ ko aaj ghar us ne kiyā

    ik zamāna thā ki duniyā thī mire qadmoñ tale

    phir zamāne bhar se mujh ko be-ḳhabar us ne kiyā

    maiñ ne jis raah meñ dil ko jalā kar rakh diyā

    mujh ko sīdhe rāste se dar-ba-dar us ne kiyā

    mast nazroñ ke sharābī ko bhalā kyā chāhiye

    ik jhalak ke vāste kitnā safar us ne kiyā

    phuul ḳhushbū rañg titlī isti.āre haiñ magar

    mujh ko ye sab naam de kar mo'atabar us ne kiyā

    aaj us ke dil meñ merī yaad phir raushan huī

    aaj phir raushan diyā dīvār par us ne kiyā

    haath meñ vo haath merā thaam kar chaltā rahā

    zindagī ke fāsloñ ko muḳhtasar us ne kiyā

    phuul kaliyāñ jis ke collar meñ sajā kar aa ga.ī

    zindagī ketiyoñ ko be-samar us ne kiyā

    jis ke hoñToñ par tabassum thā 'tabassum' ke liye

    vo tabassum ġhair ke phir naam par us ne kiyā

    thi kahan jurat kisi mein han magar us ne kiya

    dil ke is KHali makan ko aaj ghar us ne kiya

    ek zamana tha ki duniya thi mere qadmon tale

    phir zamane bhar se mujh ko be-KHabar us ne kiya

    main ne jis ki rah mein dil ko jala kar rakh diya

    mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya

    mast nazron ke sharabi ko bhala kya chahiye

    ek jhalak ke waste kitna safar us ne kiya

    phul KHushbu rang titli istiare hain magar

    mujh ko ye sab nam de kar mo'atabar us ne kiya

    aaj us ke dil mein meri yaad phir raushan hui

    aaj phir raushan diya diwar par us ne kiya

    hath mein wo hath mera tham kar chalta raha

    zindagi ke faslon ko muKHtasar us ne kiya

    phul kaliyan jis ke collar mein saja kar aa gai

    zindagi ki ketiyon ko be-samar us ne kiya

    jis ke honTon par tabassum tha 'tabassum' ke liye

    wo tabassum ghair ke phir nam par us ne kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now