Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thi to ye ek baat hi par sang-e-mil thi

Aila Tahir

thi to ye ek baat hi par sang-e-mil thi

Aila Tahir

MORE BYAila Tahir

    thī to ye ek baat par sañg-e-mīl thī

    khone ḳhauf use bhī hirāsāñ kiye rahā

    bādal bharā-bharāyā na barsā to rañj kyā

    is dhuup ke safar ko to āsāñ kiye rahā

    ye ek shai alag se rag-e-jāñ pe baar thī

    ik lamha-e-firāq pareshāñ kiye rahā

    kyā moḌ thā ki zabt yaarā nahīñ rahā

    hālāñki 'umr bhar dil-e-nādāñ kiye rahā

    us ġham ke qarz-dār haiñ tīra-shaboñ meñ bhī

    radd-e-vafā daaġh farozāñ kiye rahā

    kab aap jānte haiñ ki ik dard mustaqil

    paimāñ shaam shām-e-ġharībāñ kiye rahā

    thi to ye ek baat hi par sang-e-mil thi

    khone ka KHauf use bhi hirasan kiye raha

    baadal bhara-bharaya na barsa to ranj kya

    is dhup ke safar ko to aasan kiye raha

    ye ek shai alag se rag-e-jaan pe bar thi

    ek lamha-e-firaq pareshan kiye raha

    kya moD tha ki zabt ka yara nahin raha

    haalanki 'umr bhar dil-e-nadan kiye raha

    us gham ke qarz-dar hain tira-shabon mein bhi

    radd-e-wafa ka dagh farozan kiye raha

    kab aap jaante hain ki ek dard mustaqil

    paiman ki sham sham-e-ghariban kiye raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now