Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thi ye ummid ki wo lauT ke ghar aaega

Salma shaheen

thi ye ummid ki wo lauT ke ghar aaega

Salma shaheen

MORE BYSalma shaheen

    thī ye ummīd ki vo lauT ke ghar aa.egā

    kyā ḳhabar thī ki ba-andāz-e-digar aa.egā

    ka.ī zaḳhmoñ ke khañDar ab bhī haiñ mere dil par

    jab kuredoge nayā rañg ubhar aa.egā

    muskurā.egī jab āñkhoñ meñ sitāroñ laḌī

    aa.ina ban ke hasīñ ḳhvāb nazar aa.egā

    jab bhī lahrā.egī palkoñ pe tirī yaad shaam

    dil vaadī meñ nayā chāñd utar aa.egā

    dil rāhoñ muqaddar hai sarāboñ safar

    jo bhī aa.egā yahāñ ḳhāk-basar aa.egā

    sañg bāroñ ye bastī hai yahāñ ai shāhīn

    kaun hai le ke jo shīshe jigar aa.egā

    thi ye ummid ki wo lauT ke ghar aaega

    kya KHabar thi ki ba-andaz-e-digar aaega

    kai zaKHmon ke khanDar ab bhi hain mere dil par

    jab kuredoge naya rang ubhar aaega

    muskuraegi jab aankhon mein sitaron ki laDi

    aaina ban ke hasin KHwab nazar aaega

    jab bhi lahraegi palkon pe teri yaad ki sham

    dil ki wadi mein naya chand utar aaega

    dil ki rahon ka muqaddar hai sarabon ka safar

    jo bhi aaega yahan KHak-basar aaega

    sang baron ki ye basti hai yahan ai shahin

    kaun hai le ke jo shishe ka jigar aaega

    Source:

    Gaye Ruton Ke Zakhm (Pg. 28)

    • Author: Salma Shaheen
      • Edition: 2015
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now