thoDa bahut mila to laga gham ajib hai
thoḌā bahut milā to lagā ġham ajiib hai
miltā rahā to kah diyā hamdam ajiib hai
maiñ hī sunūñgā yā use sun pā.egā ḳhudā
jo shor mere andarūñ paiham ajiib hai
mujh meñ banā chuke haiñ ka.ī raftagāñ makān
vo ghar jo aur ghar se to ik dam ajiib hai
vālid hamāre dost ke ye kah rahe the aaj
beTā hamārā 'jaun' se kuchh kam ajiib hai
chāragarī bhī kar rahī ab mas.ale khaḌe
nāsūr zaḳhm ho ga.e marham ajiib hai
pahle hī kho chukā huuñ maiñ apne azīz-tar
us par ye kā.enāt bhī barham ajiib hai
maiñ dab rahā huuñ ishq meñ ehsāñ tale tire
mujh par jo gir rahī hai vo shabnam ajiib hai
thoDa bahut mila to laga gham ajib hai
milta raha to kah diya hamdam ajib hai
main hi sununga ya use sun paega KHuda
jo shor mere andarun paiham ajib hai
mujh mein bana chuke hain kai raftagan makan
wo ghar jo aur ghar se to ek dam ajib hai
walid hamare dost ke ye kah rahe the aaj
beTa hamara 'jaun' se kuchh kam ajib hai
chaaragari bhi kar rahi ab masale khaDe
nasur zaKHm ho gae marham ajib hai
pahle hi kho chuka hun main apne aziz-tar
us par ye kaenat bhi barham ajib hai
main dab raha hun ishq mein ehsan tale tere
mujh par jo gir rahi hai wo shabnam ajib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.