Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thoDa sa aur mujhko tu apne qarib kar

Asad Raza Sahar

thoDa sa aur mujhko tu apne qarib kar

Asad Raza Sahar

MORE BYAsad Raza Sahar

    thoḌā aur mujh ko apne qarīb kar

    nekī isī naam hai mere habīb kar

    kyā kyā nahīñ sunā tire baare meñ āj-kal

    uTh kar dikhā dhamāl kuchh to ajiib kar

    pahle bhī muflisī huuñ sidra pe yaar maiñ

    dāman chhuḌā ke aur na mujh ko ġharīb kar

    mānūs ho chukā huuñ maiñ is ārize se ab

    apnā tujhe jo kaam hai ke tabīb kar

    detā huuñ vāsta maiñ tujhe panjatan aaj

    ai zāt-e-lam-yazl mere achchhe nasīb kar

    hijrat ke is azaab se ḳhā.if nahīñ 'sahar'

    lekin nazar se duur ye merā raqīb kar

    thoDa sa aur mujh ko tu apne qarib kar

    neki isi ka nam hai mere habib kar

    kya kya nahin suna tere bare mein aaj-kal

    uTh kar dikha dhamal ya kuchh to ajib kar

    pahle bhi muflisi ki hun sidra pe yar main

    daman chhuDa ke aur na mujh ko gharib kar

    manus ho chuka hun main is aarize se ab

    apna tujhe jo kaam hai ja ke tabib kar

    deta hun wasta main tujhe panjatan ka aaj

    ai zat-e-lam-yazl mere achchhe nasib kar

    hijrat ke is azab se KHaif nahin 'sahar'

    lekin nazar se dur ye mera raqib kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now