thoDa sa waqt lagta hai pahli uDan mein
thoḌā sā vaqt lagtā hai pahlī uḌaan meñ
phir jaise chāho khol do par āsmān meñ
har aadmī ye kahtā hai maiñ tere saath huuñ
sach pūchhiye to ik bhī nahīñ hai jahān meñ
dekhā jo merā haal to kahne lagā vo shaḳhs
terā shumār hotā hai kyā zindagān meñ
fikr-e-ma'āsh saath hī dil ke mu'āmle
is 'ishq ne to Daal diyā imtihān meñ
pahle kaḌā savāl thī kuchh mujh pe shā'irī
ab sar uThā ke chaltā huuñ maiñ ḳhāndān meñ
maiñ ne kī tere shahr se hijrat bas is liye
taaki na farq aa.e tirī ān-bān meñ
thoDa sa waqt lagta hai pahli uDan mein
phir jaise chaho khol do par aasman mein
har aadmi ye kahta hai main tere sath hun
sach puchhiye to ek bhi nahin hai jahan mein
dekha jo mera haal to kahne laga wo shaKHs
tera shumar hota hai kya zindagan mein
fikr-e-ma'ash sath hi dil ke mu'amle
is 'ishq ne to Dal diya imtihan mein
pahle kaDa sawal thi kuchh mujh pe sha'iri
ab sar uTha ke chalta hun main KHandan mein
main ne ki tere shahr se hijrat bas is liye
taki na farq aae teri aan-ban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.