thoDa sa zindagi ka KHasara zarur hai
thoḌā sā zindagī kā ḳhasāra zarūr hai
par ġham ne dil kā rañg nikhārā zarūr hai
mahtāb phir rahā hai ḳhalāoñ meñ is tarah
jaise ki āsmāñ kā kināra zarūr hai
aalam meñ dekhiye to koī bhī ḳhudā nahīñ
aalam ḳhudā kī samt ishāra zarūr hai
ham ko yaqīñ hai aap ko dil kī kitāb meñ
ik an-likhe sā naam hamārā zarūr hai
kyā jāniye vo shoḳh samundar hai yā sarāb
jo bhī ho tishnagī kā sahārā zarūr hai
vaise mirī zabāñ pe koī aur lafz thā
par dost kah ke tujh ko pukārā zarūr hai
kuchh sher kah ke ham ko gumāñ ye huā 'mayañk'
ik āsmāñ zamīñ pe utārā zarūr hai
thoDa sa zindagi ka KHasara zarur hai
par gham ne dil ka rang nikhaara zarur hai
mahtab phir raha hai KHalaon mein is tarah
jaise ki aasman ka kinara zarur hai
aalam mein dekhiye to koi bhi KHuda nahin
aalam KHuda ki samt ishaara zarur hai
hum ko yaqin hai aap ko dil ki kitab mein
ek an-likhe sa nam hamara zarur hai
kya jaaniye wo shoKH samundar hai ya sarab
jo bhi ho tishnagi ka sahaara zarur hai
waise meri zaban pe koi aur lafz tha
par dost kah ke tujh ko pukara zarur hai
kuchh sher kah ke hum ko guman ye hua 'mayank'
ek aasman zamin pe utara zarur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.