Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Thokaren khaya hua patthar KHuda hona hi tha

Irshad Anjum

Thokaren khaya hua patthar KHuda hona hi tha

Irshad Anjum

MORE BYIrshad Anjum

    Thokareñ khāyā huā patthar ḳhudā honā thā

    mere gir jaane se us qad baḌā honā thā

    us shajar ke suukh jaane sabab tanhā.ī thī

    ik parinda aa ke baiThā to harā honā thā

    daam kuchh apne ziyāda lag rahe the in dinoñ

    phir hameñ bāzār meñ sab se judā honā thā

    ab imārat Dah rahī hai jism to ḳhauf kyoñ

    bārishoñ meñ bhīgne shauq thā honā thā

    sab ko hairat hai ki maiñ tujh se bichhaḌ kaise gayā

    kuchh na kuchh to is kahānī meñ nayā honā thā

    Thokaren khaya hua patthar KHuda hona hi tha

    mere gir jaane se us ka qad baDa hona hi tha

    us shajar ke sukh jaane ka sabab tanhai thi

    ek parinda aa ke baiTha to hara hona hi tha

    dam kuchh apne ziyaada lag rahe the in dinon

    phir hamein bazar mein sab se juda hona hi tha

    ab imarat Dah rahi hai jism ki to KHauf kyon

    barishon mein bhigne ka shauq tha hona hi tha

    sab ko hairat hai ki main tujh se bichhaD kaise gaya

    kuchh na kuchh to is kahani mein naya hona hi tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now