Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tir pahlu mein nahin ai rufaqa-e-parwaz

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

tir pahlu mein nahin ai rufaqa-e-parwaz

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    tiir pahlū meñ nahīñ ai rufaqā-e-parvāz

    tā.ir-e-jān ke ye par haiñ barā.e parvāz

    yuuñ to par-band huuñ par yaar paroñ par mere

    jo girah terī hai so uqda-kushā-e-parvāz

    ek parvāz tāqat nahīñ us se mujhe

    aur jo hukm ho sayyād sivā.e parvāz

    dekhiyo naama na laayā ho kabūtar is

    kuchh mire kaan meñ aatī hai sadā-e-parvāz

    be-par-o-bālī pe ġhash huuñ ki ye har dam hai rafīq

    thī par-o-bāl tak ham se vafā-e-parvāz

    apne nazdīk to is daam meñ phañs kar sayyād

    kisī kam-baḳht ko hovegā havā-e-parvāz

    to bhī us tak hai rasā.ī mujhe 'ehsāñ' dushvār

    daam luuñ gar par-e-jibrīl barā-e-parvāz

    tir pahlu mein nahin ai rufaqa-e-parwaz

    tair-e-jaan ke ye par hain barae parwaz

    yun to par-band hun par yar paron par mere

    jo girah teri hai so uqda-kusha-e-parwaz

    ek parwaz ki taqat nahin us ja se mujhe

    aur jo hukm ho sayyaad siwae parwaz

    dekhiyo nama na laya ho kabutar is ka

    kuchh mere kan mein aati hai sada-e-parwaz

    be-par-o-baali pe ghash hun ki ye har dam hai rafiq

    thi par-o-baal hi tak hum se wafa-e-parwaz

    apne nazdik to is dam mein phans kar sayyaad

    kisi kam-baKHt ko howega hawa-e-parwaz

    to bhi us tak hai rasai mujhe 'ehsan' dushwar

    dam lun gar par-e-jibril bara-e-parwaz

    Source:

    Kulliyat-e-Ehsan (Pg. e-135 page-73)

    • Author: Rafia Sultana
      • Edition: 1968
      • Publisher: Rafia Sultana
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now