Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tirgi bala ki hai main koi sada lagaun

Rajinder Manchanda Bani

tirgi bala ki hai main koi sada lagaun

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    tīrgī balā hai maiñ koī sadā lagā.ūñ

    ek shaḳhs saath thā us kuchh pata lagā.ūñ

    bahte jaane ke sivā bas meñ kuchh nahīñ to kyā

    dushmanoñ ke ghaaT haiñ naav kaise lagā.ūñ

    vo tamām rañg hai us se baat kyā karūñ

    vo tamām ḳhvāb hai us ko haath kyā lagā.ūñ

    kuchh na ban paḌe to phir ek ek dost par

    baat baat shak karūñ tohmateñ judā lagā.ūñ

    manzar ās-pās Dūbtā dikhā.ī de

    maiñ kabhī jo duur baat pata lagā.ūñ

    aisī terī bazm kyā aisā zabt-o-nazm kyā

    mere meñ aa.ī hai aaj qahqaha lagā.ūñ

    ye hai kyā jagah miyāñ kah rahe haiñ sab ki yaañ

    kuchh kashāñ kashāñ rahūñ dil zarā zarā lagā.ūñ

    tirgi bala ki hai main koi sada lagaun

    ek shaKHs sath tha us ka kuchh pata lagaun

    bahte jaane ke siwa bas mein kuchh nahin to kya

    dushmanon ke ghaT hain naw kaise ja lagaun

    wo tamam rang hai us se baat kya karun

    wo tamam KHwab hai us ko hath kya lagaun

    kuchh na ban paDe to phir ek ek dost par

    baat baat shak karun tohmaten juda lagaun

    manzar aas-pas ka Dubta dikhai de

    main kabhi jo dur ki baat ka pata lagaun

    aisi teri bazm kya aisa zabt-o-nazm kya

    mere ji mein aai hai aaj qahqaha lagaun

    ye hai kya jagah miyan kah rahe hain sab ki yan

    kuchh kashan kashan rahun dil zara zara lagaun

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 358)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now