Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tirgi ho ki ho tanwir lahu mangegi

Akhtar Gwaliori

tirgi ho ki ho tanwir lahu mangegi

Akhtar Gwaliori

MORE BYAkhtar Gwaliori

    tīrgī ho ki ho tanvīr lahū māñgegī

    har na.e daur ta.amīr lahū māñgegī

    is se achchhā hai ki ḳhvāboñ bharosa na karo

    ḳhvāb dekhoge to ta.abīr lahū māñgegī

    dasht-e-vahshat meñ to us vaqt mazā aa.egā

    jab mire paañv zanjīr lahū māñgegī

    tum mire sāmne ab jang bāteñ na karo

    nyaam se niklī to shamshīr lahū māñgegī

    maiñ ye sochtā rahtā huuñ shab-o-roz 'aḳhtar'

    kab talak vādī-e-kashmīr lahu māñgegī

    tirgi ho ki ho tanwir lahu mangegi

    har nae daur ki tamir lahu mangegi

    is se achchha hai ki KHwabon ka bharosa na karo

    KHwab dekhoge to tabir lahu mangegi

    dasht-e-wahshat mein to us waqt maza aaega

    jab mere panw ki zanjir lahu mangegi

    tum mere samne ab jang ki baaten na karo

    nyam se nikli to shamshir lahu mangegi

    main ye hi sochta rahta hun shab-o-roz 'aKHtar'

    kab talak wadi-e-kashmir lahu mangegi

    Source:

    Lamhon Ki Kasak (Pg. 113)

    • Author: Akhtar Gwaliori
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now