Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tirgi phir se baDha di jaegi

Rahman Ansari

tirgi phir se baDha di jaegi

Rahman Ansari

MORE BYRahman Ansari

    tīrgī phir se baḌhā jā.egī

    jab charāġhoñ ko havā jā.egī

    phuul tanhā baaġh meñ rah jā.eñge

    ek din ḳhushbū uḌā jā.egī

    zinda logoñ se faqat nafrat kareñ

    jab mareñge tab duā jā.egī

    roz bāzāroñ meñ mat jaayā karo

    varna phir qīmat ghaTā jā.egī

    phir taqāze par utar aa.ī zabān

    phir magar suulī chaḌhā jā.egī

    itnā mat sochā karo apne liye

    ḳhaak to hai uḌā jā.egī

    sāhiloñ ke ḳhauf se kashtī mirī

    bahte dariyā meñ Dubā jā.egī

    tirgi phir se baDha di jaegi

    jab charaghon ko hawa di jaegi

    phul tanha bagh mein rah jaenge

    ek din KHushbu uDa di jaegi

    zinda logon se faqat nafrat karen

    jab marenge tab dua di jaegi

    roz bazaron mein mat jaya karo

    warna phir qimat ghaTa di jaegi

    phir taqaze par utar aai zaban

    phir magar suli chaDha di jaegi

    itna mat socha karo apne liye

    KHak hi to hai uDa di jaegi

    sahilon ke KHauf se kashti meri

    bahte dariya mein Duba di jaegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now