Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tis din ke liye tark-e-mai-o-saqi kar lun

Shibli Nomani

tis din ke liye tark-e-mai-o-saqi kar lun

Shibli Nomani

MORE BYShibli Nomani

    tiis din ke liye tark-e-mai-o-sāqī kar luuñ

    vā.iz-e-sāda ko rozoñ meñ to raazī kar luuñ

    pheñk dene koī chiiz nahīñ fazl-o-kamāl

    varna hāsid tirī ḳhātir se maiñ ye bhī kar luuñ

    ai nakīrain qayāmat pe rakkho pursish

    maiñ zarā umr-e-guzishta talāfī kar luuñ

    kuchh to ho chāra-e-ġham baat to yak ho jaa.e

    tum ḳhafā ho to ajal ko maiñ raazī kar luuñ

    aur phir kis ko pasand aa.egā vīrāna-e-dil

    ġham se maanā bhī ki is ghar ko maiñ ḳhālī kar luuñ

    jaur-e-gardūñ se jo marne bhī fursat mil jaa.e

    imtihān-e-dam-e-jāñ-parvar-e-īsī kar luuñ

    dil miltā nahīñ sifloñ se vagarna 'shiblī'

    ḳhuub guzre falak-e-dūñ se jo yaarī kar luuñ

    tis din ke liye tark-e-mai-o-saqi kar lun

    waiz-e-sada ko rozon mein to raazi kar lun

    phenk dene ki koi chiz nahin fazl-o-kamal

    warna hasid teri KHatir se main ye bhi kar lun

    ai nakirain qayamat hi pe rakkho pursish

    main zara umr-e-guzishta ki talafi kar lun

    kuchh to ho chaara-e-gham baat to yak ho jae

    tum KHafa ho to ajal hi ko main raazi kar lun

    aur phir kis ko pasand aaega virana-e-dil

    gham se mana bhi ki is ghar ko main KHali kar lun

    jaur-e-gardun se jo marne ki bhi fursat mil jae

    imtihan-e-dam-e-jaan-parwar-e-isi kar lun

    dil hi milta nahin siflon se wagarna 'shibli'

    KHub guzre falak-e-dun se jo yari kar lun

    Source:

    kalam-e-shibli (Pg. 114)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now