Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tilism-e-atish-e-gham aazmane wala ho

Hasan Jameel

tilism-e-atish-e-gham aazmane wala ho

Hasan Jameel

MORE BYHasan Jameel

    tilism-e-ātish-e-ġham āzmāne vaalā ho

    charāġh koī tah-e-dil jalāne vaalā ho

    ham aa ga.e haiñ jise dekhne ko mahfil meñ

    ajab nahīñ vahī āñkheñ churāne vaalā ho

    bahut se log safar meñ ikaTThe ho jaa.eñ

    koī qarīb koī duur jaane vaalā ho

    maiñ dekhtā huuñ sar-e-shām āsmān ko yuuñ

    ki jaise duur ufuq se aane vaalā ho

    ye kyā ki māñjhiyoñ par ek kaifiyyat

    koī to naav kināre pe laane vaalā ho

    tilism-e-atish-e-gham aazmane wala ho

    charagh koi tah-e-dil jalane wala ho

    hum aa gae hain jise dekhne ko mahfil mein

    ajab nahin wahi aankhen churane wala ho

    bahut se log safar mein ikaTThe ho jaen

    koi qarib koi dur jaane wala ho

    main dekhta hun sar-e-sham aasman ko yun

    ki jaise dur ufuq se tu aane wala ho

    ye kya ki manjhiyon par ek hi si kaifiyyat

    koi to naw kinare pe lane wala ho

    Source :
    • Book : Makan Khulty Hain (Pg. 24)
    • Author : Hassan Jameel
    • Publication : Nastalique Al-firoz center Gazni Street, Urdu Bazar, Lahore (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now