tera firaq KHizan mein mile to achchha ho
tirā firāq ḳhizāñ meñ mile to achchhā ho
maiñ chāhtā huuñ udāsī kā rang gahrā ho
badan kī samt bhī niklo kabhī ki mumkin hai
tumheñ talāsh hai jis kī yahī vo rasta ho
rutoñ ke ramz kabhī munkashif bhī hoñ ham par
dhanak-shanās hoñ ham zaat meñ izāfa ho
ham apnī raushnī se ḳhud bahut pashemāñ haiñ
havā gale se lagā le to ḳhatm qissa ho
baḌā hasīn-o-dil-āvez hai ye shahr tirā
magar vo shaḳhs ki jis ko udaas rahnā ho
tamām ḳhadshe hamāre ġhalat nikal aa.eñ
ḳhudā kare ye ḳhalā kahkashāñ meñ khultā ho
ye āsmāñ mujhe is tarh dekhtā hai 'rāz'
ki jaise maiñ ne kabhī is kā kuchh bigāḌā ho
tera firaq KHizan mein mile to achchha ho
main chahta hun udasi ka rang gahra ho
badan ki samt bhi niklo kabhi ki mumkin hai
tumhein talash hai jis ki yahi wo rasta ho
ruton ke ramz kabhi munkashif bhi hon hum par
dhanak-shanas hon hum zat mein izafa ho
hum apni raushni se KHud bahut pasheman hain
hawa gale se laga le to KHatm qissa ho
baDa hasin-o-dil-awez hai ye shahr tera
magar wo shaKHs ki jis ko udas rahna ho
tamam KHadshe hamare ghalat nikal aaen
KHuda kare ye KHala kahkashan mein khulta ho
ye aasman mujhe is tarh dekhta hai 'raaz'
ki jaise main ne kabhi is ka kuchh bigaDa ho
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 36)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.