tera jalwa jahan ho aashkara
tirā jalva jahāñ ho āshkārā
vahī kā'ba vahī qibla hamārā
rahā baaqī na jab koī bhī yaarā
anal-haq kah uThā ulfat kā maarā
zarā ho jaa.e saaqī kā ishārā
abhī jhuum uTThe ye mai-ḳhāna saarā
kahāñ kā tuur kaisī lan-tarānī
kisī ḳhalvat-nashīñ kā thā ishārā
tasavvur thā kisī kā vaj.h-e-taskīñ
shab-e-ġham vo bhī kartā hai kinārā
parastish aap apnī kar na baiThūñ
gumāñ hone lagā ḳhud par tumhārā
tasarruf se janāb-e-‘dil’ ke 'sābit'
taḳhayyul ho chalā ūñchā tumhārā
tera jalwa jahan ho aashkara
wahi ka'ba wahi qibla hamara
raha baqi na jab koi bhi yara
anal-haq kah uTha ulfat ka mara
zara ho jae saqi ka ishaara
abhi jhum uTThe ye mai-KHana sara
kahan ka tur kaisi lan-tarani
kisi KHalwat-nashin ka tha ishaara
tasawwur tha kisi ka wajh-e-taskin
shab-e-gham wo bhi karta hai kinara
parastish aap apni kar na baiThun
guman hone laga KHud par tumhaara
tasarruf se janab-e-‘dil’ ke 'sabit'
taKHayyul ho chala uncha tumhaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.