Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera KHayal musafir ke saeban sa hai

Mehdi Baqar Khan Meraj

tera KHayal musafir ke saeban sa hai

Mehdi Baqar Khan Meraj

MORE BYMehdi Baqar Khan Meraj

    tirā ḳhayāl musāfir ke sā.ebān hai

    zamīn-e-ishq ḳhātir āsmān hai

    jo kal talak mire saa.e bhī muḳhālif thā

    sunā hai aaj vo dushman bhī mehrbān hai

    agar ho azm javāñ ham-safar musāfir ke

    akelā ho ke bhī vo shaḳhs kārvān hai

    vo jis ne joḌ diyā vasl ko firāq ke saath

    vo lamha dosto nā-qābil-e-bayān hai

    hamāre baare meñ vāzeh nahīñ ḳhayāl us

    kabhī vo ḳhush to kabhī qadre bad-gumān hai

    bapā hai kaisā talātum jigar bastī meñ

    mirī ġhazal har ik lafz tarjumān hai

    tera KHayal musafir ke saeban sa hai

    zamin-e-ishq ki KHatir tu aasman sa hai

    jo kal talak mere sae ka bhi muKHalif tha

    suna hai aaj wo dushman bhi mehrban sa hai

    agar ho azm jawan ham-safar musafir ke

    akela ho ke bhi wo shaKHs karwan sa hai

    wo jis ne joD diya wasl ko firaq ke sath

    wo lamha dosto na-qabil-e-bayan sa hai

    hamare bare mein wazeh nahin KHayal us ka

    kabhi wo KHush to kabhi qadre bad-guman sa hai

    bapa hai kaisa talatum jigar ki basti mein

    meri ghazal ka har ek lafz tarjuman sa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now