Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera mizaj takabbur ka shaKHsana tha

Munir Anwar

tera mizaj takabbur ka shaKHsana tha

Munir Anwar

MORE BYMunir Anwar

    tirā mizāj takabbur shāḳhsāna thā

    ta'alluqāt manzar badal jaanā thā

    ga.e the ham bhī faqat rasm nibhāne ko

    aur us tarz-e-amal bhī muḳhāsamāna thā

    kisī ke ūñche dar-o-bām mohtaram the magar

    hameñ havā ke liye rāsta banānā thā

    ye ḳhaak buġhz-o-adāvat se paak rakhnī thī

    zamīn-e-dil pe shajar pyaar ugānā thā

    maiñ jāntā huuñ use mujh pe e'tibār na thā

    agarche mere gavāhoñ meñ ik zamāna thā

    ye ne tark-e-marāsim baat kyoñ chheḌī

    hameñ to yuuñ bhī tirā shahr chhoḌ jaanā thā

    ka.ī charāġh muñDeroñ pe jal bujhe 'anvar'

    use na aanā thā shāyad use na aanā thā

    tera mizaj takabbur ka shaKHsana tha

    ta'alluqat ka manzar badal hi jaana tha

    gae the hum bhi faqat rasm hi nibhane ko

    aur us ka tarz-e-amal bhi muKHasamana tha

    kisi ke unche dar-o-baam mohtaram the magar

    hamein hawa ke liye rasta banana tha

    ye KHak bughz-o-adawat se pak rakhni thi

    zamin-e-dil pe shajar pyar ka ugana tha

    main jaanta hun use mujh pe e'tibar na tha

    agarche mere gawahon mein ek zamana tha

    ye tu ne tark-e-marasim ki baat kyon chheDi

    hamein to yun bhi tera shahr chhoD jaana tha

    kai charagh munDeron pe jal bujhe 'anwar'

    use na aana tha shayad use na aana tha

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now