Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera qusur nahin dost bewafa hona

Zaheen Bikaneri

tera qusur nahin dost bewafa hona

Zaheen Bikaneri

MORE BYZaheen Bikaneri

    tirā qusūr nahīñ dost bevafā honā

    mire nasīb meñ likkhā thā ġham-zada honā

    ajab nahīñ hai kahīñ koī hādisa honā

    zamāna chāhtā hai kuchh na kuchh nayā honā

    tirī ḳhamoshī bhī mujh ko aziiz hai lekin

    dekh merī mohabbat intihā honā

    vo chāhtā nahīñ bevafā zamāne meñ

    mere laboñ pe kisī taur iltijā honā

    dhaḌak rahā hai mire dil meñ vo hamesha se

    use qubūl nahīñ merā devtā honā

    charāġh-e-ishq bujhā hai na bujh sakegā kabhī

    zamāne dekh havā terī havā honā

    ye fāsle alāmat hai darmiyāñ apne

    jo baat baat pe ho jaa.e faisla honā

    nazar nazar pe lage haiñ fareb ke parde

    bahut zarūrī hai chehre aa.ina honā

    badalte daur meñ ab to bahut mushkil hai

    'zahīn' dil kisī dil se āshnā honā

    tera qusur nahin dost bewafa hona

    mere nasib mein likkha tha gham-zada hona

    ajab nahin hai kahin koi hadisa hona

    zamana chahta hai kuchh na kuchh naya hona

    teri KHamoshi bhi mujh ko aziz hai lekin

    tu dekh meri mohabbat ki intiha hona

    wo chahta hi nahin bewafa zamane mein

    mere labon pe kisi taur iltija hona

    dhaDak raha hai mere dil mein wo hamesha se

    use qubul nahin mera dewta hona

    charagh-e-ishq bujha hai na bujh sakega kabhi

    zamane dekh hawa ka teri hawa hona

    ye fasle ki alamat hai darmiyan apne

    jo baat baat pe ho jae faisla hona

    nazar nazar pe lage hain fareb ke parde

    bahut zaruri hai chehre ka aaina hona

    badalte daur mein ab to bahut hi mushkil hai

    'zahin' dil ka kisi dil se aashna hona

    Source:

    Hunar Mehekta Hai (Pg. 60)

    • Author: Zaheen Bikaneri
      • Publisher: Sarjina, Bikaner
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now