aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera tazkira su-ba-su kyun karen hum

Naresh Kumar Shad

tera tazkira su-ba-su kyun karen hum

Naresh Kumar Shad

MORE BYNaresh Kumar Shad

    tirā tazkira sū-ba-sū kyuuñ kareñ ham

    mohabbat ko be-ābrū kyuuñ kareñ ham

    likhī hai muqaddar meñ nā-kāmyābī

    kareñ to ġham-e-ārzū kyuuñ kareñ ham

    agar rañg-o-bū is chaman hai faanī

    nazar mā.il-e-rañg-o-bū kyuuñ kareñ ham

    hasīnoñ pās-e-vafā ġhair-mumkin

    hasīnoñ se ye aarzū kyuuñ kareñ ham

    adāvat jab hāsil-e-dostī hai

    mohabbat phir aarzū kyuuñ kareñ ham

    kareñ kyuuñ tumhāre sitam shikāyat

    mohabbat ko be-ābrū kyuuñ kareñ ham

    agar 'shād' ham ḳhud kho.e hue haiñ

    kisī aur justujū kyuuñ kareñ ham

    tera tazkira su-ba-su kyun karen hum

    mohabbat ko be-abru kyun karen hum

    likhi hai muqaddar mein na-kaamyabi

    karen to gham-e-arzu kyun karen hum

    agar rang-o-bu is chaman ka hai fani

    nazar mail-e-rang-o-bu kyun karen hum

    hasinon ka pas-e-wafa ghair-mumkin

    hasinon se ye aarzu kyun karen hum

    adawat hi jab hasil-e-dosti hai

    mohabbat ki phir aarzu kyun karen hum

    karen kyun tumhaare sitam ki shikayat

    mohabbat ko be-abru kyun karen hum

    agar 'shad' hum KHud hi khoe hue hain

    kisi aur ki justuju kyun karen hum

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 317)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now