Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera wajud teri shaKHsiyat kahani kya

Dinesh Kumar

tera wajud teri shaKHsiyat kahani kya

Dinesh Kumar

MORE BYDinesh Kumar

    tirā vajūd tirī shaḳhsiyat kahānī kyā

    kisī ke kaam na aa.e to zindagānī kyā

    havas hai jism āñkhoñ se pyaar ġhā.eb hai

    badal ga.e haiñ sabhī ishq ke ma.ānī kyā

    azal se jaarī hai hashr chalegā safar

    samay ke sāmne dariyāoñ ravānī kyā

    ye māntā huuñ maiñ mehmāñ ḳhudā rahmat hai

    ke tum ne dekhī nahīñ merī mezbānī kyā

    ḳhumār-e-ishq bhī utregā roz-e-vasl ke baad

    rahegī apnī bhalā umr bhar javānī kyā

    binā laḌe jo mushkiloñ se haarā hai

    ragoñ meñ terī lahū ban gayā hai paanī kyā

    ḳhushī chaah meñ kuchh ġham uThāne paḌte haiñ

    guloñ ḳhaar nahīñ karte pāsbānī kyā

    tera wajud teri shaKHsiyat kahani kya

    kisi ke kaam na aae to zindagani kya

    hawas hai jism ki aankhon se pyar ghaeb hai

    badal gae hain sabhi ishq ke maani kya

    azal se jari hai ta hashr hi chalega safar

    samay ke samne dariyaon ki rawani kya

    ye manta hun main mehman KHuda ki rahmat hai

    ke tum ne dekhi nahin meri mezbani kya

    KHumar-e-ishq bhi utrega roz-e-wasl ke baad

    rahegi apni bhala umr bhar jawani kya

    bina laDe hi jo tu mushkilon se haara hai

    ragon mein teri lahu ban gaya hai pani kya

    KHushi ki chah mein kuchh gham uThane paDte hain

    gulon ki KHar nahin karte pasbani kya

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now