Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera yaqin hun main kab se is guman mein tha

Zafar Ghauri

tera yaqin hun main kab se is guman mein tha

Zafar Ghauri

MORE BYZafar Ghauri

    tirā yaqīn huuñ maiñ kab se is gumān meñ thā

    maiñ zindagī ke baḌe saḳht imtihān meñ thā

    shajar shajar mirī aamad muntazir mausam

    maiñ barg-e-gul havāoñ ik uḌaan meñ thā

    paTak ke toḌ diyā jis ne nīsha-e-jāñ ko

    meñ jū-e-shīr pinhāñ usī chaTān meñ thā

    añdherī raat meñ samt-e-sadā pe chhoḌ diyā

    havas tiir jo us jism kamān meñ thā

    uThā sakā na maiñ dast-e-tahī se patthar bhī

    matā-e-ġhair vo kāñch dūkān meñ thā

    ye daur-e-ilm-o-hunar is ko paḌh nahīñ paayā

    sahīfa dil mirā jaane kis zabān meñ thā

    tera yaqin hun main kab se is guman mein tha

    main zindagi ke baDe saKHt imtihan mein tha

    shajar shajar meri aamad ka muntazir mausam

    main barg-e-gul sa hawaon ki ek uDan mein tha

    paTak ke toD diya jis ne nisha-e-jaan ko

    mein ju-e-shir sa pinhan usi chaTan mein tha

    andheri raat mein samt-e-sada pe chhoD diya

    hawas ka tir jo us jism ki kaman mein tha

    uTha saka na main dast-e-tahi se patthar bhi

    mata-e-ghair sa wo kanch ki dukan mein tha

    ye daur-e-ilm-o-hunar is ko paDh nahin paya

    sahifa dil ka mera jaane kis zaban mein tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now