tere aage bhala hum kya karenge
tire aage bhalā ham kyā kareñge
kahegā jo tū ham vaisā kareñge
na.e laḌke abhī haiñ is anā meñ
javānī hai abhī man kā kareñge
hamāre shānt rahne kā sabab hai
kareñge jab bhī kuchh 'umda kareñge
kabhī sochā nahīñ thā aap bhī yuuñ
hamāre saath kuchh aisā kareñge
tere aage bhala hum kya karenge
kahega jo tu hum waisa karenge
nae laDke abhi hain is ana mein
jawani hai abhi man ka karenge
hamare shant rahne ka sabab hai
karenge jab bhi kuchh 'umda karenge
kabhi socha nahin tha aap bhi yun
hamare sath kuchh aisa karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.