Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere aks se meri zat mein hai latif hijr-o-visal sa

Naina Adil

tere aks se meri zat mein hai latif hijr-o-visal sa

Naina Adil

MORE BYNaina Adil

    tire aks se mirī zaat meñ hai latīf hijr-o-visāl

    dam-e-sub.h koī umang sar-e-shām koī malāl

    tirī bū-e-ḳhush ke surūr se tirī raushnī ke vafūr se

    mire nain gahre siyāh se mirā rang surḳh gulāl

    magar āgahī talab se hai hama-vaqt nok-e-zabān par

    koī lafz lafz-e-gumān koī harf harf-e-savāl

    jise zindagī ke rafū libās ke saare baḳhiye qubūl haiñ

    use phir labāda qazā bhī huā narm reshoñ shaal

    chalo DhūñDeñ shahar-e-numūd meñ koī shaḳhs paikar-e-zindagī

    koī dostī nazīr koī dilbarī misāl

    mirā intiqām bhī harf haiñ mirā ehtimām bhī harf haiñ

    kabhī giit giit tarañg kabhī she'r she'r vabāl

    tere aks se meri zat mein hai latif hijr-o-visal sa

    dam-e-subh koi umang si sar-e-sham koi malal sa

    teri bu-e-KHush ke surur se teri raushni ke wafur se

    mere nain gahre siyah se mera rang surKH gulal sa

    magar aagahi ki talab se hai hama-waqt nok-e-zaban par

    koi lafz lafz-e-guman sa koi harf harf-e-sawal sa

    jise zindagi ke rafu libas ke sare baKHiye qubul hain

    use phir labaada qaza ka bhi hua narm reshon ki shaal sa

    chalo DhunDen shahar-e-numud mein koi shaKHs paikar-e-zindagi

    koi dosti ki nazir sa koi dilbari ki misal sa

    mera intiqam bhi harf hain mera ehtimam bhi harf hain

    kabhi git git tarang si kabhi she'r she'r wabaal sa

    Source:

    Shabd (Pg. 111)

    • Author: Naina Adil
      • Publisher: Arshia Publications, Delhi
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now