Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere baghair ajab baam-o-dar ka aalam hai

Rahman Khawar

tere baghair ajab baam-o-dar ka aalam hai

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    tire baġhair ajab bām-o-dar aalam hai

    kahāñ vo dasht hogā jo ghar aalam hai

    paḌe gharoñ pe ye uftād kyā ki logoñ ke

    qayām se bhī numāyāñ safar aalam hai

    jo dekhte haiñ vo tahrīr kar nahīñ sakte

    ye mere shahr ke ahl-e-hunar aalam hai

    zarā jo chhāñv meñ baiTho to jism jal jaa.e

    ye sāya-dār hai ye is shajar aalam hai

    sukūt hai udhar bhī idhar bhī sannāTā

    jo manziloñ vahī rahguzar aalam hai

    mire aur us ke sitāre ab ek haiñ 'ḳhāvar'

    jo kal idhar thā vahī ab udhar aalam hai

    tere baghair ajab baam-o-dar ka aalam hai

    kahan wo dasht ka hoga jo ghar ka aalam hai

    paDe gharon pe ye uftad kya ki logon ke

    qayam se bhi numayan safar ka aalam hai

    jo dekhte hain wo tahrir kar nahin sakte

    ye mere shahr ke ahl-e-hunar ka aalam hai

    zara jo chhanw mein baiTho to jism jal jae

    ye saya-dar hai ye is shajar ka aalam hai

    sukut sa hai udhar bhi idhar bhi sannaTa

    jo manzilon ka wahi rahguzar ka aalam hai

    mere aur us ke sitare ab ek hain 'KHawar'

    jo kal idhar tha wahi ab udhar ka aalam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now