tere chandi tere sone ke aansu
tire chāñdī tire sone ke aañsū
mire zimme tire hisse ke aañsū
inheñ palkoñ meñ rakkhūñgā chhupā kar
bahut pyāre haiñ ye tohfe ke aañsū
namāz-e-vaqt pe itrāne vaalo
kabhī pochho kisī bachche ke aañsū
farishto rā.egāñ hone na denā
bahut anmol haiñ sajde ke aañsū
tū pasta-qad tirā kotāh dāman
bahut ūñche haiñ ye ūñche ke aañsū
kahīñ dāman tumhārā jal na jaa.e
ki sho'la haiñ dabe kuchle ke aañsū
koī jiddat nahīñ hai is meñ 'saifī'
ye aañsū haiñ bahut pahle ke aañsū
tere chandi tere sone ke aansu
mere zimme tere hisse ke aansu
inhen palkon mein rakkhunga chhupa kar
bahut pyare hain ye tohfe ke aansu
namaz-e-waqt pe itrane walo
kabhi pochho kisi bachche ke aansu
farishto raegan hone na dena
bahut anmol hain sajde ke aansu
tu pasta-qad tera kotah daman
bahut unche hain ye unche ke aansu
kahin daman tumhaara jal na jae
ki sho'la hain dabe kuchle ke aansu
koi jiddat nahin hai is mein 'saifi'
ye aansu hain bahut pahle ke aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.