Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere didar ki KHatir mah-o-aKHtar jage

Akhtar Gwaliori

tere didar ki KHatir mah-o-aKHtar jage

Akhtar Gwaliori

MORE BYAkhtar Gwaliori

    tire dīdār ḳhātir mah-o-aḳhtar jaage

    ye parinde bhī tire hijr meñ aksar jaage

    kahīñ jugnū kahīñ taare kahīñ manzar jaage

    phir satāne ke liye mujh ko sitamgar jaage

    apnī āñkhoñ meñ basā kar ġham-e-hijrāñ kasak

    kaash bhī kabhī mere liye shab bhar jaage

    aag aur ḳhuun ke dariyā ko ravānī dene

    ḳhūgar-e-zulm jafā-kāroñ ke lashkar jaage

    ḳhushbueñ jhuum uThīñ nuur barsāt huī

    tere aane se bahāroñ ke muqaddar jaage

    din dahlīz ho raat āñgan lekin

    dil dhaḌkan hai ki har-vaqt barābar jaage

    kuchh tumhīñ par nahīñ 'aḳhtar' shab-e-furqat asar

    ham bhī āñkhoñ meñ liye ashkoñ ke kankar jaage

    tere didar ki KHatir mah-o-aKHtar jage

    ye parinde bhi tere hijr mein aksar jage

    kahin jugnu kahin tare kahin manzar jage

    phir satane ke liye mujh ko sitamgar jage

    apni aankhon mein basa kar gham-e-hijran ki kasak

    kash tu bhi kabhi mere liye shab bhar jage

    aag aur KHun ke dariya ko rawani dene

    KHugar-e-zulm jafa-karon ke lashkar jage

    KHushbuen jhum uThin nur ki barsat hui

    tere aane se bahaaron ke muqaddar jage

    din ki dahliz ho ya raat ka aangan lekin

    dil ki dhaDkan hai ki har-waqt barabar jage

    kuchh tumhin par nahin 'aKHtar' shab-e-furqat ka asar

    hum bhi aankhon mein liye ashkon ke kankar jage

    Source:

    Lamhon Ki Kasak (Pg. 88)

    • Author: Akhtar Gwaliori
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now