tere hathon ki coffee aur barish
tire hāthoñ kī coffē aur bārish
ye duniyā hai izāfī aur bārish
gañvā baiThe jo rāh-e-'ishq meñ ham
nahīñ us kī talāfī aur bārish
vo jhagḌā nit-na.ī bātoñ pe tum se
mu'āfī aur talāfī aur bārish
ġhazab tirveniyāñ 'gulzār' terī
ġhazal fartāsh 'hāfī' aur bārish
karūñ phir kyā zamāne kā maiñ 'amjad'
mujhe bas tū hai kaafī aur bārish
tere hathon ki coffee aur barish
ye duniya hai izafi aur barish
ganwa baiThe jo rah-e-'ishq mein hum
nahin us ki talafi aur barish
wo jhagDa nit-nai baaton pe tum se
mu'afi aur talafi aur barish
ghazab tirweniyan 'gulzar' teri
ghazal fartash 'hafi' aur barish
karun phir kya zamane ka main 'amjad'
mujhe bas tu hai kafi aur barish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.