Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere honTon se dupaTTe ke sarakne ki qasam

Ramiz Hashmi

tere honTon se dupaTTe ke sarakne ki qasam

Ramiz Hashmi

MORE BYRamiz Hashmi

    tire hoñToñ se dupaTTe ke sarakne qasam

    dil ne chāhā hai tujhe dil ke dhaḌakne qasam

    raat guzre hai sulagte hue sho.aloñ pe kahīñ

    terī be-tāb javānī ke sulagne qasam

    dil bhī Duube chalā jaatā hai sūraj tarah

    din ke Dhalne pe parindoñ ke taḌapne qasam

    ḳhushbū sāñsoñ meñ samā.ī hai tirī sāñsoñ

    sehn-e-gulshan meñ gulāboñ ke mahakne qasam

    jhilmilātā hai tirā aks mire ashkoñ meñ

    chāñd rātoñ meñ chakorī ke machalne qasam

    chain paḌtā nahīñ tere sivā dam bhar ko

    terī chāhat ke rag-o-pai meñ utarne qasam

    din guzartā nahīñ raat Thahar jaatī hai

    duur pardes meñ 'rāmiz' ke sisakne qasam

    tere honTon se dupaTTe ke sarakne ki qasam

    dil ne chaha hai tujhe dil ke dhaDakne ki qasam

    raat guzre hai sulagte hue shoalon pe kahin

    teri be-tab jawani ke sulagne ki qasam

    dil bhi Dube hi chala jata hai suraj ki tarah

    din ke Dhalne pe parindon ke taDapne ki qasam

    KHushbu sanson mein samai hai teri sanson ki

    sehn-e-gulshan mein gulabon ke mahakne ki qasam

    jhilmilata hai tera aks mere ashkon mein

    chand raaton mein chakori ke machalne ki qasam

    chain paDta hi nahin tere siwa dam bhar ko

    teri chahat ke rag-o-pai mein utarne ki qasam

    din guzarta hi nahin raat Thahar jati hai

    dur pardes mein 'ramiz' ke sisakne ki qasam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now