Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere ishaara-e-abru ka ehtiram karen

Ramz Azimabadi

tere ishaara-e-abru ka ehtiram karen

Ramz Azimabadi

MORE BYRamz Azimabadi

    tire ishāra-e-abrū ehtirām kareñ

    vajūd apnā sambhāleñ ki terā kaam kareñ

    javāb de to mazā bhī mile savāloñ

    vo aa.ina hai to phir kis tarah kalām kareñ

    thakan se aañkh jhapakne lagī hai sonā hai

    tujhe junūn-e-safar āḳhirī salām kareñ

    bahut se kaam haiñ duniyā meñ aadmī ke liye

    kisī ke vāste kyuuñ zindagī harām kareñ

    ibādatoñ ke maze ḳhaas log lūTeñ

    rivāj-e-shirk-e-mohabbat jahāñ meñ aam kareñ

    ḳhatā ke hote zamān-o-makāñ qaid ġhalat

    na.ī fazā na.ī duniyā intizām kareñ

    laveñ charāġhoñ āñkhoñ meñ gum huiiñ shāyad

    kahīñ se raushnī laa.eñ to fikr-e-shām kareñ

    jidhar bhī jā.iye shorish-zada ilāqa hai

    kahīñ bhī jā-e-amāñ hai jahāñ qayām kareñ

    tamām qatra-e-shabnam hoñ qumqume jaise

    nashāt rañg savere ehtirām kareñ

    bujhe charāġhoñ meñ kaise ho nuur tarsīl

    na ho ye fikr to phir intizār-e-shām kareñ

    har aadmī ko yahāñ da.avā-e-ḳhudā.ī hai

    akelī jaan hai kis kis ehtirām kareñ

    tumheñ hai sar zarūrat hameñ shahādat

    tum apnā kaam sambhālo ham apnā kaam kareñ

    na fan-shanās hai koī na sher-fahm koī

    kise kalām sunā.eñ kahāñ kalām kareñ

    tumhārā ġham bhī hai ai 'ramz' apne ġham jaisā

    matā.a-e-mushtarka ye ġhazal ke naam kareñ

    tere ishaara-e-abru ka ehtiram karen

    wajud apna sambhaalen ki tera kaam karen

    jawab de to maza bhi mile sawalon ka

    wo aaina hai to phir kis tarah kalam karen

    thakan se aankh jhapakne lagi hai sona hai

    tujhe junun-e-safar aaKHiri salam karen

    bahut se kaam hain duniya mein aadmi ke liye

    kisi ke waste kyun zindagi haram karen

    ibaadaton ke maze KHas log hi luTen

    riwaj-e-shirk-e-mohabbat jahan mein aam karen

    KHata ke hote zaman-o-makan ki qaid ghalat

    nai faza nai duniya ka intizam karen

    lawen charaghon ki aankhon mein gum huin shayad

    kahin se raushni laen to fikr-e-sham karen

    jidhar bhi jaiye shorish-zada ilaqa hai

    kahin bhi ja-e-aman hai jahan qayam karen

    tamam qatra-e-shabnam hon qumqume jaise

    nashat rang sawere ka ehtiram karen

    bujhe charaghon mein kaise ho nur ki tarsil

    na ho ye fikr to phir intizar-e-sham karen

    har aadmi ko yahan dawa-e-KHudai hai

    akeli jaan hai kis kis ka ehtiram karen

    tumhein hai sar ki zarurat hamein shahadat ki

    tum apna kaam sambhaalo hum apna kaam karen

    na fan-shanas hai koi na sher-fahm koi

    kise kalam sunaen kahan kalam karen

    tumhaara gham bhi hai ai 'ramz' apne gham jaisa

    mataa-e-mushtarka ye ghazal ke nam karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now